Monday, June 18, 2007

Yeh jo Des hai tera

Here. Never before I appreciated this song as much as I do these days. Maybe it's just now that I can relate myself to this song in a better way than before.

Ye jo des hai tera, swades hai tera, tujhe hai pukaara…
Ye woh bandhan hai jo kabhi toot nahin sakta

Mitti ki jo khushboo, tu kaise bhoolaayega
Tu chaahe beh jaaye, tu laut ke aayega
Nayi nayi raahon mein, dabi dabi aahon mein
Khoye khoye dilse tere, koyi ye kahega
Ye jo des hai tera, swades hai tera, tujhe hai pukaara
Ye woh bandhan hai jo kabhi toot nahin sakta

Tujhse zindagi, hai ye keh rahi
Sab toh paa liya, ab hai kya kami
Yun toh saare sukh hai barse
Par door tu hai apne gharse
Aa laut chal tu ab diwaane
Jahaan koyi toh tujhe apna maane
Awaaz de tujhe bulaaye, wahi des
Ye jo des hai tera, swades hai tera, tujhe hai pukaara
Ye woh bandhan hai jo kabhi toot nahin sakta

Ye pal hai wahi, jis mein hai chhupi
Puri ek sadi, saari zindagi
Tu na poochh raaste mein kaahe
Aaye hain is tarha do raahein
Tu hi toh hai raah jo sujhaaye
Tu hi toh hai ab jo ye bataaye
Chaahe toh kis disha mein jaaye wahi des
Ye jo des hai tera, swades hai tera, tujhe hai pukaara
Ye woh bandhan hai jo kabhi toot nahin sakta

Read this again and again and I realise every word is true... a truly well written song!

No comments: